Monday, November 4, 2013

Tulaba-e-Osmania ke naam (For the Students of Osmania): Taraanah-e-Osmania (Anthem of Osmania University)


        Ilm-o-irfan-o-tahzeeb ki masha’lein              hum hain apne lahoo se jalaye hue
        Justuju-e-sadaaqat ke har naqsh ko            hum hain apne dilon mein chupaaye hue
        Amn-o-insaaf-o-aazaadi-e-fikr ko                 hum hein apnaa taraanah banaaye hue

        Raahro bhi humeen aur rahbar bhi hum         apnaa jaadah bhi hum, apni manzill bhi hum
        Mauj bhi hum hein, apnaa safinaa bhi hum    nakhudaa bhi humeen aur sahil bhi hum
        Rind bhi hum hein aur apne saqi bhi hum      ahle mehfil bhi hum, sadre mehfil bhi hum

        Daur-e-mai tez se tez tar hai yahaan            gardish-e-jaam mein koi hayal nahin
        Bahr-e-ilm-o-sadaaqat hai la-intehaa             is ki maujon ka koi bhi saahil nahin
        Jis jagah ruk sakein justuju ke qadam           is safar mein koi aisi manzil nahin

        Jo muqamaat auron ko dushwar the              un muqamaat se bhi guzar aaye hum
        Jin shaheedan-e-haq ke gale kat gaye           un ki awaaz ban kar ubhar aaye hum
        Waham-o-gumraahi wa jahal ki raat mein      mahr bar-kaf misaal-e-sahar aye hum

        Zahar ka jaam Suqraat  ban kar piyaa           bahr-e-zulmaat mein aab-e-baqaa ban gaye
        Saath Isa ke khinch gaye daar par                daaman-e-maryami ki hawaa ban gaye
        Ram-o-Gautam ke har gham ko apnaa liya    aur Muhammad ke dil ki sadaa ban gaye

        Hum shamim-e-sabaa ke liye phool hain       qaatilon ke liye tez talwaar hain
        Hum hain farsh-e-rah-e-nakhat-e-dilbaraan     zulm ka sayl aaye to diwaar hain
        Hum qateel-e-niyaaz-e-butaan, naaz-e-dil      nukhwat-o-qaahari ke liye waar hain
 
                                         Maadar-e-Jaamiah teri zau paaashiyaan
     Hain hamaare gharon ki ziyaa

     Maadar-e-Jamia tere diwaar-o-dar
     hain hamaare lahu se Ajantaa numaan

     Maadar-e-Jaamiah tere har sang mein
     dil hamaaraa dhadktaa rahegaa sadaa

                                    




9 Dec 1957

Later was adopted as an anthem of Osmania University, Hyderabad and sung at all University functions.
http://twocircles.net/2013feb14/panduranga_reddy_man_who_standing_urdu_cost_his_doctorate_degree.html

No comments:

Post a Comment