Ilm-o-irfan-o-tahzeeb
ki masha’lein hum hain apne lahoo se
jalaye hue
Justuju-e-sadaaqat
ke har naqsh ko hum
hain apne dilon mein chupaaye hue
Amn-o-insaaf-o-aazaadi-e-fikr ko
hum hein apnaa
taraanah banaaye hue
Raahro
bhi humeen aur rahbar bhi hum apnaa jaadah bhi hum, apni manzill bhi hum
Mauj bhi
hum hein, apnaa safinaa bhi hum nakhudaa
bhi humeen aur sahil bhi hum
Rind
bhi hum hein aur apne saqi bhi hum ahle mehfil bhi hum, sadre mehfil bhi hum
Daur-e-mai
tez se tez tar hai yahaan gardish-e-jaam
mein koi hayal nahin
Bahr-e-ilm-o-sadaaqat
hai la-intehaa is ki maujon ka koi
bhi saahil nahin
Jis jagah
ruk sakein justuju ke qadam is safar mein koi
aisi manzil nahin
Jo
muqamaat auron ko dushwar the un muqamaat se bhi guzar aaye hum
Jin
shaheedan-e-haq ke gale kat gaye un ki
awaaz ban kar ubhar aaye hum
Waham-o-gumraahi
wa jahal ki raat mein mahr bar-kaf misaal-e-sahar aye hum
Zahar ka
jaam Suqraat ban kar piyaa bahr-e-zulmaat
mein aab-e-baqaa ban gaye
Saath Isa
ke khinch gaye daar par daaman-e-maryami ki hawaa ban gaye
Ram-o-Gautam
ke har gham ko apnaa liya aur
Muhammad ke dil ki sadaa ban gaye
Hum shamim-e-sabaa
ke liye phool hain qaatilon ke liye tez
talwaar hain
Hum hain
farsh-e-rah-e-nakhat-e-dilbaraan zulm ka sayl aaye to diwaar hain
Hum
qateel-e-niyaaz-e-butaan, naaz-e-dil nukhwat-o-qaahari ke
liye waar hain
Maadar-e-Jaamiah teri zau paaashiyaan
Hain hamaare gharon ki ziyaa
Maadar-e-Jamia tere diwaar-o-dar
hain
hamaare lahu se Ajantaa numaan
Maadar-e-Jaamiah tere har sang mein
dil hamaaraa
dhadktaa rahegaa sadaa
9 Dec 1957
Later was adopted as an anthem of Osmania University, Hyderabad and sung at all University functions.
http://twocircles.net/2013feb14/panduranga_reddy_man_who_standing_urdu_cost_his_doctorate_degree.html