Khalifatahun Fil Arz
Ya khuda-e-Zul Jalaal
Khaliq-e-maujood-o-na-maujood, zaat-e-La-yizaal
Arsh-o-kursi, salsabeel-o-kausar-o-lauh-o-qalam tera jamaal
Jinn-o-naas, Iblees-o-Jibraeel-o-malaik teri qudrat ka kamaal
Jannat-e-mauood-o-jalwahhai na mash-hood ke pahloo raqs karta khak ka nanha sa zarra yeh zameen
Tu ne is zarre ko dee hai arsh-o-kursi ki bulandi asmaan ki wusa’atein
Tu ne Aadam mein mujassam kar diye apne kamaalaat-o-sifaat
Az karaan ta be-karaan pheli khalaaon mein banaya khaak ke putle ko tasweer-e-hayaat
Adl-o-sidq-o-haq ka hai ma’yaar yeh mahdood zaat
Ek nanha sa sharara aur us per kul khudaai’ ka hai baar
Ek wajood aur usko halqe main liye hai har taraf se zulmaton ka bahar-e-na-paida kinaar
Zindagi majboor aur marg-o-adam ba-ikhtiyaar
Yeh amaanatdaar-e-takhleeq aadmi
Ya adm, zulmaat aur andhee khala
Kaun hai na'ib Tera
Mere Khuda?
Tamtaraaq-e-nuqra-o-zar, la’al-o-gauhar ka sabaat
Tashnagee ka regzaar, aasuda kaamee ki faraat
Khwahishon ke dasht-o-sahraa, aarzoo ki kaai’naat
Hasraton ke sard laashey, justuju ke garm haat
Jism ke masroof din aur rooh ki be-chain raat
Darmiyaan mein waqt ka kuchh faslaa rakh lo to sab na-bood hain
Shama’ bujh jaye to yeh saare manaazir halqahhai dood hain
Hast per na-bood haakim
Waaqa’ee per waham-e-na-maujood hakim
Aadmi ya aadmi ki shakl ke na-bood-o-na-maujood halqahhai dood
Kaun hai naayab tera
Mere Khuda?
Bum, missile, aasmani lab, rocket aur khalaaee shahsawaar
Qahat-o-sailaab-o-waba, ghusse se shaq hoti zameen, aatish ba seenah-e-kohsaar
Khurdani na-khurdani ajnaas ke masrooqah godaam
Zulm-o-istehsaal-o-milkeeyat ke hafiz shara’-o-dastoor-o-qawaneen-e-tashadud aashkar
Qatil aur saariq ke khanazaad hain nazm-o-nasq ke ikhtiyaar
Mazhar-e-shaan-e-khudawandee ki hain majbooriyaan na-deedani, na-guftani
Faaqaah-o-beemaari-o-iflaas ke raunde huey insaan chichaurhi haddiyon ke waastey
Bhaunktey ek doosre per, nochte ek doosre ki botiyaan
Mahnat-o-imaandaari hai sag-e-shahr-e-hawas
Aadmi ya aadmi per hukmraan qanoon ka zaalim hisaar
Kaun na'ib hai Tera
Mere Khudaa?
Har taraf aadmi hain baalishtiyon ki bastiyaan
Baans ki tango pe chalti qadd-e-aadam pastiyaan
Baunepan ki hain talaafi oonchee oonchee kursiyaan
Pahlu’on mein zewaron se soney chaandi ki lade na-mardumee ki daastaan
Masnad-e-kam khwaab-o-deeba per saji kaldaar aankhon ki nachaati putliyaan
Karhkarhaatey kaghzon aur chamchamaatee dhaat ke rangeen khiloney ke liye kilkaariyaan
Shahr main baalishtiyon ke sar ba-zanoo aur kamar se hain khameeda aadmi
Sar utha kar gar khadaa ho jaye pooraa aadmi
Adl ki masnad bichhaa kar, kamtaree ki girha ko meezan banaa kar
Hukm denge qatl ka balishtiye
Aadmi ya aadmi ki shakl ke baalishtiye
Kaun na'ib hai Tera
Merey Khuda?
Jannat-e-mau’ood tere barish-e-anwaar rooyat ka Jamaal
Teri is maujood duniya mein hai na-bood hukm
Zulm-o-istehsaal ka qanoon hakim
Aadmi per aadmi ke shakl ke baalishtiye hain hukmraan
Kya teri mau’ood jannat mein bhi hai na-bood ke andhe qawaneen
Aur insaan shakl baunon ka muqaam?
Kya hamein hoga wahan bhi sirf apne khoon-e-dil per ikhtiyaar?
Kya wahan bhi karna hoga, hamko har lamhah sawaal
Kaun na'ib hai Tera
Mere Khuda?
Waheed Akhtar